sms

Khatam Apni Chaahton


Khatam Apni Chaahton ka Silsila Kaise Hua, Tu To Mujh Mein Jazb Tha,Mujh Sy Juda Kaise Hua. Woh Jo Tere Aur Mere Darmiyan Aik Baat Thi, Aao Sochen Shehar ous Sy Aashna Kaise Hua. Chubh Gai Seeney Mein Tooti Khawhishon ki Kirchiyaan, Kya Likhoon,Dil Tootne ka Haadsa Kaise Hua. Jo Rag-e-Jaan Tha Kabhi Milta Hai Ab Rukh Phair kr, Sochta Hoon,Is Qadar Woh Bewafa Kaise Hua......






Wo Husn-e-Mujasim 



Wo Husn-e-Mujasim Kamal uski aankhein Sarapa Mohabbat jamal uski aankhein Main jab b us say sawal pochon Mujhay rooz deti hein taal uski aankhein Jo bechay to dono jahan day k lay lon Wo chehra,wo zulfain,wo gal,uski aankhein Agar koi pochay k dunia mein kia hay? Zamana day ga misal uski aankhein


Ab agar aao to janay k liya mat aana 



Ab agar aao to janay k liya mat aana, Sirf ehsaan jatanay k liye mat aana, Main ne palkon pe tamannaein saja rakhi hain, Dil pe umeed ki so rasmein j zindgi hai Tere liye. Meri Rab se yahi dua hy bas,Tuje koi na mujse juda kray. Mere khwab,Mere ye rat-jgay, Meri nend b hy Tere liye. Meri zindagi jo bcai tum se,k jab bhi larkharana tum, Mujhe awaz de dena,Mujhe bus itna fakhr de dena,k tmhare ansu mai rakh loon, Tmhe apni hansi dadun.....

Tanha rehna seekh




Tanha rehna seekh raha hon Mar k jeena seekh raha hon Maang k pana seekh liya hai Pa k khona seekh raha hon sabr ko apni raah bana kr Kanch pe chalna seekh raha hon Phirte phirte sehra sehra Piyas ko peena seekh raha hon Jeene k hain ajeeb taqaze Zinda rehna seekh raha hon.


Hum Na Samjhe 




Hum Na Samjhe Teri Nazron Ka Takaza Kia Ha, Kabhi Jalwa Kabhi Parda,Ya Tamasha Kia Ha. Mujhko Madhosh Sa Kar Rakha Hai Teri Aankhon Ne, Warna Ae SaaQi Tere Maikhaane Mai Rakha Kia Hai, Dekh Laila Tere Majnoo Ka Kaleja Kia Hai, Khaak Mai Mil K Bhi Kehta Hai K Bigra Kia Ha. Ye Surahi Sa Badan Lekay Mre Samnay Na Aa, May Sharabi Hon Sharabi Ka Bharosa Kia Ha. Apne Honton Ko Mere Honton Se Chonay To Dai, Ek Do Ghoont Se Botal Ka Bigrta Kai Ha. 


Ab k ham bicchrey to shaeyad phir 



Ab k ham bicchrey to shaeyad phir khabon men milen jaisey sookhey huye phool kitabon men milen dhoond ujrey huye logon men wafa k moti ye khaszaney tujhey momkin hen khrabon men milen too khuda hey na mera ishq frishton jaisa donon insaan hen to qiyon itney hijabon men milen ab na wo men hoon na too hey na wo mazi jaisey do shaks tamanna k srabon men milen gham duniyan bhi gham yaar men shaamil kar lo nashah bharta hey shraaben jo shrabon men milen 




 Bhot aasan hy khna  






 Bhot aasan hy khna Mohbat ham kisi ke krtey hen Mgr mtlb Muhabt ka Smjh lena nh aasan Muhabt pa k kho dena Mohbt kho k pa lena Ye un logo k qisse hen Mhabbt k jo mujrm hen Jo mil jane pe hnste hen Bichar jane pe rote hen Suno Mohbt krne wale to Boht khamosh hote hen Jo qurbt me b jeete hen Jo furqt me b jeete hy Na wo fryad krte hy Na wo ashkon ko Peete hy Mohbt k ksi b lafz ka charcha nh krte Wo mr k bhi apni chahat ko Kbi Ruswa nh krte

Baand lain haat pey 




Baand lain haat pey Seeney pey saja lain Tum ko Jee men ata hey Taveez bana lain tum ko Phir tumhen roz sawaren Tumhen barta daiken Q na angan men chambaili sa lga len tum ko Kia ajeeb khahishen Uthti hen hmarey dil men Kar ke munnasa hawaon men uchhalen tum ko Kabhi khwabon ki trha aankh key prdey men rho Kabhi khahish ki trha Dil men bulaa len tum ko Is qdar toot key tum pey hamen piyar ata hey Apni bahon men bharen maar hi dalen tum ko 

No comments: